Sunday, May 4, 2008

Hal-e-dil

Hal-e-dil yar ko likhun kyon kar
Hath dil se juda nahin hota

Na tab hijr main hai na aram wasl main
Kambakht dil ko chain nahin hai kisi tarah

Subah ro ro k sham hoti hai
Shab tarap kar tamam hoti hai

Kahun kis se main k kya hai, shab-e-gam buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota

Ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge

Ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Dil hee to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyon
RoyeNge ham hazaar baar, koee hamein sataaye kyon

Gam se kahin najat mile chain payen ham
Dil khun main nahae to ganga nahayen ham

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
Baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
Ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
Usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Insaan jab is jahan mein aya uske pass gam tha
Aur jab is jahan se gaya tau uske pass gam tha
Khushi usne jis lamhe ko samajha aye rab
Dar-asal tab uske gam ka ehsas kam tha

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta…
Kahin zameen to kahin aasmaan nahin milta..
Tere jahan mein aisa nahin ke pyar na ho..
Jahan ummeed ho uski, wahan nahin milta…

No comments: